Pages

06 May 2021

HOW TO CALCULATE KUA NUMBER ?



Kua number chinese solar calendar par based hai jiska upyog fengshui mein lucky direction ko janne ke liye kiya jata hai.
Kua number calculate karne ke liye sabse pehle apne birth year ke sabhi anko ka total karke single digit mein le aaye,
Ab jo bhi single digit number aaya usko agar aap male hain to 11 mein se ghata de agar aap female hain to birth year ke single digit mein 4 add kar de ab jo bhi ank aaye agar wo dubble digit mein hai to usko single me le aaye wahi aapka kua number hai.

Ex :- maan lijiye kisi ka birth year 1985 hai to ham 1985 ke sabhi anko ka total kar lete hain 1+9+8+5=23=5 aaya ab agar ye male hai to 11 me se 5 ko ghata denge 11-5=6 male ke liye kua number 6 hua.
Agar ye ek female hai to 4 ko aad karna hai to 5+4=9 kua number hua female ke liye.

Kua number ke according 4 direction aapke liye lucky aur 4 direction unlucky hoti hai.
Kua number ko 2 group mein banta gaya hai,
EAST group aur WEST group,

EAST Group kua number =1,3,4,9
WEST Group kua number =2,6,7,8

Ab aap dekhiye aapka kua number kis group mein aata hai agar EAST group mein aata hai to EAST group me aane wale sabhi direction aapke liye lucky hoga aur agar aapka kua number west group mein aata hai to west group mein aane wale sabhi direction aapke liye lucky honge.
Aaiye jante hain EAST aur WEST group me aane wale direction kon kon se hain.

EAST group- N, S, E, SE

WEST group- W, SW, NW, NE

Maan lijiye aapka kua number 3 hai to dekhiye 3 EAST group mein aata hai to EAST group me aane wale sabhi direction aapke liye lucky honge.

Note- Kua number 5 agar aaye to male ke liye kua 2 aur female ke liye kua 8 mana jaega

No comments: